Tag: Punjabi SMS
Bahaut Tanha Hoon !!!
Khalid
Yeh 2008 ki meri akhri posting main apne unn doston
ke naam karta hoon jo qadam qadam mere saath chalte
rahe aur mera hausla barhate rahe. I thank you all from
the bottom of my heart.Happy new year to you all!!!
Amarjeet,Heeren,Hetal,Imroz,Komal, Madhu,Sweet aur Tamanna…….
Khalid
Kaash khawabon mein hi aa jao bahaut tanha hoon
Ya mere zehan se yaadon ke diye gul kar do
Mere ehsaas ki duniya ko mitta do ham dam
Raat taare nahin angaare liye aati hai
Intezaar Aaj Bhi Hai !!!
Khalid
Ashk beh jaate hain aksar sabhi ki aankhon se,
Main to un ki yaad mein ashkon mein beh gya.
Dost bhi badal gaye ab tere jaane ke baad,
Bas akela main tanhayon ke saath reh gya.
Tere aane ka intezaar ab bhi hai in aankhon ko,
Woh tera hasna tasveer ban kar hi reh gya.
Diya baadlon ne mera saath ta-umar yun hi,
Kabhi roya baras ke to kabhi garaj ke kuch keh gya.
Ashk beh jaate hain aksar sabhi ki aankhon se,
Main to un ki yaad mein ashkon mein beh gya.(mkm)
===========================================
===========================================
Kya Likhun….!!!
KhalidÂ
Teri aankhon me bhara pyaar ka sagar likhun,
Ya teri muskaan me chhipa mera jeevan likhun..
Chup chap kuch bolti ye teri saansen likhun,
Â
Ya tere deedar mein apna intezaar likhun..
Â
Ya woh sadiyon see lambi raat likhun..
Â
Ya is duri mein gire  mere aansu likhun..
Â
Ya mere dhadkano ki aawaz likhun..
Kya likhun…
Â
Kya likhun…
Kaise Bataaoun Tum Mere liye Kiya Ho !!!
Khalid
Kaise Bataaoun Tum Mere Liye Kiya Ho
Tum Dharkano Ka Geet Ho
Jeewan Ka Tum Sangeet Ho
Har Khushi Ho Tum Pyar Ho Tum
Yaadon Main Tum Neendon Main Tum
Khawabon Main Tum Saanson Main Tum
Aahon Main Tum Ho Tum Ho Meri Har Baat Main
Tum Ho Meri Din Raat Main Subah Main Tum Shaam Main Tum
Soch Main Tum Kaam Main Tum
Mere Liye Paana Bhi Tum Mere Liye Khona Bhi Tum
Mere Liye Hansna Bhi Tum Mere Liye Rona Bhi Tum
Jaata Hoon Kahin Dekhta Hoon Kahin
Kaise Bataoun Tum Mere Liye Kiya Ho (mkm)
============================================
============================================
Tum Aao To Hum Bhi Eid Karein !!!
Khalid
Hasrat hai tumhari deed karein
Tum aao to hum bhi Eid karein!!!
Kuch dair to dil ko chain mille
Kuch roz to mann ka phool khile
Kehte hain Eid ki aamad hai
Ab log bhi kuch taeed karein
Tum aao to hum bhi Eid karein!!!
Tum se yeh aik guzarish hai
Yeh apne dil ki khwahish hai
Aik baar milo,aik baar milo
Har baar yahi takeed karein
Tum aao to hum bhi Eid karein!!!
Jab gham ke baadal chaaye they
Uss waqt bhi tum na aaye they
Iss baar bhi tum nahi aaye ho
Sab dushman yeh tanfeed karein
Tum aao to hum bhi Eid karein!!!
Maana ke hum deewane hain
Sab baaton se anjaane hain
Jab apne hi begaane hain
Kya ghairon se umeed karein
Tum aao to hum bhi Eid karein!!!(mkm)
==================================
=======================
Hum Aapko In Aankhon Mein Yun Basaa Liya Karte Hain !!!
Khalid
Yeh post Imroz ke naam,umeed hai ke pasand
aaye gi.
——————————————
Khalid
Hum aapko in aankhon mein yun basaa liya karte hain,
Ja sake jahan tak hamari yeh nazar,aap ko har jagah paa liya karte hain.
Aap ki yaadon ki mehak se din guzaar liya karte hain,
Na mil sakain aapse kabhi to,aapki tasveer ko seene se lagaa liya karte hain.
Hum na jaante the ke pyaar mein itni tadap hoti hai,
Aap ki yaad mein kabhi tanhai mein,aansu baha liya karte hain.
Deewangi ki had na poochho humse,kalam haath se jab thamte hain kuchh kaam se,
Bas aapka naam likh likh ke,dil behlaa liya karte hain.
Ab laut bhi aao tum hamaari khatir,
Ke aapki aas mein hi har shaam guzaar liya karte hain.
Mayusi jab chaa jati hai chehre pe,
Yaad karke aapko, hum yun hi muskuraa liya karte hain.(mkm)
=============================================
=============================================Â
.
Teri Yaad Aaye To Main Kya Karoon !!!
Khalid
Teri yaad aaye to main kya karoon
Tujh bin qaraar na aaye to main kya karoon
Jaagte mein bhi tujh ko sochoon
Sote mein bhi tere khawaab aayein to main kya karoon
Tujhe bhoolne ki lakh karta hoon koshish
Aankhon se teri surat na jaaye to main kya karoon
Tere paas aana chahta hoon main
Zamaana dewaar ban jaaye to main kya karoon
Mere dil mein tasweer hai teri jaanti hai tu
Phir bhi tujhe yaqeen na aaye to main kya karoon (mkm)
========================================
========================================
