Hindi SMS Shayari



Aasoon se bhari, Ankhon ko chupata kaha,
Aakhir apna pyar joh khoya dil tuta… Dhal
gaya rishto ki shyam… Uss raat mere
mukkudar pe… Asma bhi roya…

Aye Musafir hum bhi chale thae kabhi un raho par,
sajae thae humne bhi ankho ke saajh par kuch sapne.
Lut gaye hum unhi se joh thaey kabhi mere apne…

Aap ki badd-dua bhi dua bann k lagi, aapke
har gham ne bhi sukoon diya, hum zinda
hai toh yeh jaankar k pyarse na sahi par,
aapne hume yaad toh kiya…

Hamdam k liye ham dam se gaye,
hamdam ki kasam na mila. Mar ham bhi
gaye marham liye zakhmon ki kasam
marham na mila…

Aaj arse baad jab suni uski awaaz, toh laga
ki mere bahut pass hai woh. Ho gayi nam
yeh aankhen jab hosh aaya, aur paya ki
kabhi naa puri hone wali aas hai woh.

Bina dard k ansu bahaye nahi jate, Bina
pyar k rishte nibhaye nahi jate, Ae dost ek
baat yaad rakhna bina DIL diye, DIL paye
nahi jate…

zaraa palat kar to dekh lete, hum wahi
khade the, pal do pal to aap muskura lete,
to un palo mein hum apni sari zindagi jee
lete

Yun toh bahut tha baatane ko, zamaane
se chup ke chaha tha apne chahne wale
ko, kya khabar thi yun tanha chod deega
woh, acha hua ki mere dukh ki khabar bhi
na mil paaye zamaane ko. …….

Zindagi gar phool, toh tum khushbu ho…
Zindagi gar khwaab, toh tum aarzoo ho…
Zindagi gar jeena, toh tum meri zaroorat ho…
Gar Mar jaana, toh haaton mei tera haath ho…!!!

samunder ko kya dukh hai bataa bhi nahin
sakta, aankhn mai aansuu laa bhi nahin
sakta, tu saath chhodkar jaa rahi hai mera
kasoor nahin tera, har shaksh mera saath
nibha bhi nahin saktaa…….

khuda se karne ek faryad baki hai, Humne
unse kahni kuch baat baaki hai, maut
aayegi to kahenge, RUK meri jaan se abhi
mulakat baaki hai.

Yaad mein teri aanhe bharta hai koi, har
saans ke saath tujhe yaad karta hai koi,
maut to sachai hai aani hai, lekin teri
judaai mein har roz marta hai koi….!

Tumhari dosti, tumhari har wafa hi kafi hai,
tamam umar yeh asra hi kafi hai. Jahan
kahi bhi milo mil ke muskara dena,
khushiyo ke liye yeh hasi hi kafi hai…

WO din din nahi,woh raat raat nahi,
wo pal pal nahi,jis pal teri baat nahi,
ki teri yadon se maut hame alag kar sake,
maut ki bhi ye aukat nahi.

Moom aur patthar ka pighalna aasan hai,
Unke bedard dilo ko pighalo toh baat hai.
Jite hue na poocha Shahjahan ne mumtaz
ko, Marne ke khada kiya mahal toh yeh kya
kamal hai……… .

Nazar ne nazar se mulaqat kar li, rah
dono khamosh par baat karli… Mohabbat
ki fiza ko jab khush paya, in aankhon ne
roh roh ke barsaat kar li…….. ..

Jab hum ne unse pooncha, Sapnna kya
hota hain to unhone kaha, Bandh aankhon
mein jo apna hota hain khuli aankhon mein
wohi sapna hota hain.

subah ko yaad aayi to miss kiya,dopar ko
yaad aayi to bahut miss kiya,shaam ko
yaad aayi to heart ne skip kiya ,aur jab
jaan pe ban aayi to sms kiya.

Dard e dil shayari

Aaj To Hum Maut Ki Dua Kar Ke Roye Hain
Dobara Aaj Khuda Se Gila Kar Ke Roye Hain
Kyon Na Likh Saka Tu Us Ko Taqdeer Mein Meri
Yeh Aik Khayal Soch Kar Phir Hum Roye Hain.

Sapne Ki Tarah Aakar Chale Gaye
Gamo Ki Neend Sulakar Chale Gaye
Kis Bhool Ki Saza Di Humko??
Pehle Hasaya Aur Fir Rulakar Chale Gaye. Hum ko to muskranay ki Aadat si hai
Ansoon ko Chupanay ki Aadat si hai
Duwa na hi Dawa Kaam kerti Hai hum per..
Ab to Zakhm Khanay ki Aadat si Hai..

Paane se khone ka maza aur hai
Bandh aankhon main rone ka maza aur hai
Aansoo bane lafz aur lafz bane ghazal
aur uss ghazal main tere hone ka maza aur hai

Sweet Shayaris

Bahon me le lo mujhko ….K tanha hoon main.

Dhadkan me basa lo mujhko ….K tanha hoon main.

Tum nahi jo…Jahan mein kuch bhi nahi,

Mujh me sama jao…k tanha hoon main.

****

Phool ki tarah haste raho …To hum khush hain.

Dil kholkar jiya karo …To hum khush hain.

Ye nahi kehte k hame mila karo, …Bas roz yaad kar liya karo

To hum khush hain.

****

Geele kagaz ki tarah hai zindagi apni,

Koi jalata bhi nahi aur bahata bhi nahi.

Is kadar akele hain raahon me dil ki,

Koi satata bhi nahi aur koi manata bhi nahi.

****

Kal raat khuda ne poocha,

‘Tu dosti me itna kyu khoya hai?’ Read More

Hindi SMS jokes

Kyun chalti hai pawan?

Bcoz of evaporation.

Kyun jhoome hai gagan?

Bcoz of revolution.

Kyun machalta hai man?

Bcoz of excessive perspiration.

Kyun aati hai bahar?

Bcoz of change in season.

Kyun lut ta hai Qarar?

Bcoz of mental tension.

Kyun hota hai pyar?

Bcoz of fatal attraction.

Kyun gum hai har disha?

Bcoz of loss of sense of direction.

Kyun hota hai nasha?

Bcoz of drug addiction.

Na Tum Jano Na Hum.

ARRE BUT I JUST ANSWERED ALL!!!!

****

Q : Aadmi shaadi kyun karta hai?

A :Seedhi si baat hai.

Taan ki marne k baad

Jab narak me jaye

To ajeeb sa na lage!

**** Read More

Ab ke tute to na sambhlenge hum

asar ho raha hai mohabbat k aaaj phir

aaj phir main nagme gungunaane laga hun

pahle main darta tha mohabbat k khel se

ab phir se baazi lagaane laga hun

jiski talaash thi mujhe hamesha

kya tum sachmuch wahi ho

tumhe dekhta hun toh lagta hai

kii kaahin tum khwaab toh nahi ho

bas pad lo meri aankhon main mohaabat apne liye

labon se keh saku itni himmat ab nahin hai

todna mat mera dil jo tumko diya hai

is baar jo main bikhra toh phir judna mumkin nahi hai

Tuesday, May 20th, 2008/Hindi Shayari, Sad Shayari/Comment (0)/