Muddat Se Jis Ke Waaste Dil Be Qarrar Tha !!!
9th
Aug/2008
Advertisement
Khalid
Muddat se jis ke waaste Dil be qaraar tha
Woh laut kar na aaya magar intezaar tha
Jo humsafar tha chorr gaya raah main mujhe
Main phans gaya bhanwar main woh darya ke paar tha
Manzil qareeb aayi to tum door hogaye
Itna to tum batao ke yeh kaisa Pyaar tha
Chilman giradi yeh kis ne dono ke darmiyan
Na woh sakoon se betha na mujh ko qaraar tha
Yeh mukhtasar sa haal hai rukhsat ke waqt ka
Ankhon main aansu aur Dil beqaraar tha
Yeh baat umer bhar samjh na paaya main
Kyun Dil mera us ka talabgaar tha (mkm)
=====================================
=====================================
Popularity: 2% [?]
By khalid on Aug 9, 2008 in College Life Masti, Friendship SMS Shayari, Hindi SMS & Shayri, Hindi Shayari, Punjabi SMS, Punjabi Shayari, Sad Shayari, love sms, love-shayari |
|
Search for More Shayari here |

July 25th, 2009 at 6:56 pm
Hi TASHA
Thank you so much my friend for your
lovely comment on this post. I am so
pleased that you also write.
I am very impressed with your collection
you have posted here,especially…
“Ye haseen vaadiyaan ye khula aasmaan
Aa gaye hum kahan ay mere saajna
In bahaaron mein dil ki kali khil gayi
Mujhko tum jo mile har khushi mil gayi”
Please keep visiting !!!
==================================
khalid.m@hotmail.co.uk
==================================
July 25th, 2009 at 5:30 pm
Raaton Raat Tara Koi Chand Ya Sitara Koi
Gire To Utha Lena, O Suniyon Re
Tara Chamkila Hoga Chand Sharmila Hoga
Nath Mein Laga Lena
July 25th, 2009 at 5:30 pm
Ye haseen vaadiyaan ye khula aasmaan
Aa gaye hum kahan ay mere saajna
In bahaaron mein dil ki kali khil gayi
Mujhko tum jo mile har khushi mil gayi
Tere honthon pe hain husn ki bijliyaan
Tere gaalon pe hain zulf ki badliyaan
Tere baalon ki khushboo se mehke chaman
Sangmarmar ke jaisa ye tera badan
Meri jaanejaan ye hai teri chaandni
Chhed do tum aaj koi pyaar ki raagini
July 25th, 2009 at 5:26 pm
Swarg si dharti khil rahi jaise
Mera manna bhi to khil raha vaise
Koyal ki tarah gaane ka armaan
Bijli ki tarah machloon ye armaan
Jawaani hai laayi rangeen sapna