Meri zindagi mein ajab ik mazaa hai..

Meri zindagi mein ajab ik mazaa hai..

Ruswayion mein ajab ik mazaa hai ..
Dushwaryion mein ajab ik mazaa hai ..

Kabhi is mehfil mein aakar to dekho ..
Tanhayion mein ajab ik mazaa hai ..

Sooraj ko doobhte dekha to samjha..
Pasteyon mein ajab ik mazaa hai..

Kabhi ho jo hum per bhi nazre karam..
In inayaton mein ajab ik mazaa hai ..

Na hum un ko samjhe na woh hum ko samjhe..
Khushfehmyion mein ajab ik mazaa hai..

Chale jaa rahe hain yu hi be irada..
Is darbadri mein bhi ajab ik mazaa hai ..

Mil kar bhi un se door kitne ..
In faaslon mein ajab ik mazaa hai ..

Na kehna koi bewafa un ko yaaro..
In bewafayion mein ajab ik mazaa hai ..

Na hum kuch kahein gein ,na woh kuch kahein gein..
Khamoshyeon mein ajab ik mazaa hai..

Apni hi dhun mein guzari hai shayed..
Meri zindagi mein ajab ik mazaa hai..
************************************************
Shared By Amarjeet Kaur

1 Comment
  1. like it
    its as my life

    Leave a reply

    Love Shayari and Whatsapp Status in Hindi
    Logo