Fir Se Ek Baar Dil Me Tera Hone Ki Tamanna Hai

love sms shayari

Fir se ek baar dil me tera hone ki tamanna hai
Tumhare hi khayalo’n me khone ki tamanna hai

Muddat se in aankho’n me tarawish nahi jhalki,
Aakar fir se rula jao, ke fir rone ki tamanna hai

Fir is dil-a-nada’n me, dard ki hawas jaagi hai,
Tasbeeh-a-hayat me azeeyat pirone ki tamanna hai

Khuda ka wasta, tum mujhpe koi reham na karna,
Fir dil ko ghamo’n ka bojh dhone ki tamanna hai

Main hansta khelta aayine ko bhi achha nahi lagta,
Aankho’n ko ashko’n se ab bhigone ki tamanna hai

Humare dil se fir khelo aur fir todkar chal do Karan,
Gar tumko apne is pasandida khilone ki tamanna hai

3 Comments
  1. Uski har mehfil me raunak ho,us ki har khusi me khuda ki raza ho,wo mujhe vulne ki dua kare, uski ye dua bhi qabool ho..

  2. Bahut khub kalam likha hai. Shukeria.

  3. na samajh tha me jo tera aitbar kiya, har lamhe har pal me tujhe yaad kiya, tu na ayegi ye pata tha mujhe fir b jane kiyu tera intezar kiya he, tanhai me beitha sochta hu maine aisa kya gunah kiya jo tu mujh se juda huyi… ek teri hi khwaish he mujhe ab is jahaan me, ab to aaja tu kahi se ek arrsey se mene tera intezar kiya he…

    Leave a reply

    Love Shayari and Whatsapp Status in Hindi
    Logo