kyun kartay ho..

toot kay bhi tum hamein yaad kyun kartay ho
zamanay say juda hokar hamein pyaar kyun kartey ho

hum tu teray bina jeena seekh gayein hain
phir hamaray naam ko apnay saath mansoob kyun kartay ho

hamaray dil kay zakham to abhi tak taaza hain
phir hamein yaad karkay ankhon ko ashk baar kyun kartay ho

jeevan kay ik ik moor pay tum yunhi
mujhe apna bana kar logon kay taaney kyun bardaasht kartay ho

meray dil kay darwaazey kab say teeray liye khulay hain
tum saamnay ka bajayey hamesha peechay say waar kyun kartay ho

meri ghazalein faqt teray liye hain
phir dil kay teeron say mera hi shikar kyun kartay ho..”

5 Comments
  1. app hamesha kuch rahe bas itni dua karte hai

  2. mujhey tum yaad atey ho kissi sunsan sapney mein chuppi khaish ki hiddat mein kissi masrufiyat key morr par tanhai key sehraon mein ya phir kissi anjan beemari ki shiddat mein mujhey tum yaad aatey ho kissi bichrey huvey ki chashm-e-pur nam key nazarey par kissi beetey huvey din ki thakaan ki aut sey ya phir tumharey zikar mein guzri hui shab key isharey par kissi basti ki ba-ronak sarak par aur kissi darya,kissi weran jungle key kinarey par mujhey tum yaad aatey ho meri chup key kunwain mein aarzoo’on key badan jab tairtey hein aur kinarey sey koi boley to lagta hey ajal awaz daiti hey meri baichainiyon mein jab tumhari tund-khu ranjish khatakti hey tumhari bey-sabab doori sulagti hey ya phir jab bhi mairi aankhon key sehra mein tumhari yaad ki tasveer jalti hey,judai haath malti hey mujhey tum yaad aatey ho mukaddar key sitaron par zamanon key isharon par udasi key kinaron par kabhi wairan shehron mein kabhi sunsan raston par kabhi hairan aankhon mein kabhi bey-jaan lamhon mein mujhey tum yaad aatey ho suhani shaam ho koi kahin badnaam ho koi kissi key naam ho koi mujhey tum yaad aatey ho kahin barish baras jaye kahin sehra taras jaye kahin kali ghata uttrey kahin baad-e-saba thehrey tumharey aur maire dermian agar Khuda thehrey to…meri zindagi key awwal-o-aakhir tum us lamhey Khud key baad aatey ho mujhey tum yaad aatey ho mujhey tum yaad aatey ho

  3. waaaaaaaaaaaaah jaan sedhey dil mein utar gaye tumhare alfaz jab bhi karte ho to kuch kamal he karte ho

  4. Barso baad na jane kya sama hoga, hum sab dosto me na janne kaun kaha hoga, fir milna hua to milenge khwabo me,jaise sukhe gulab milte hai kitabo mein.

    Aapko miss karna roz ki baat hai,yaad karna aadat ki baat hai,aapse dur rehna kismat ki baat hai,magar aapko bhoolna apne bas ke bahar ki baat hai.

    Leave a reply

    Love Shayari and Whatsapp Status in Hindi
    Logo