Close bar
  • Connect with us

Kya pyaar issi ko kahte hain…

Jo mil kar bhi naa mil pata hai.
Kaise yeh usse batayein hum,
Tujh bin rah na paayein hum.

Kyun baar baar woh satata hai -
Kuwaabon main aakar rulata hai?
Bhulanaa us ko chahein hum,
Par kis tarah bhulaayein hum?

Woh mann main har dum rahta hai,
Dharkan ki tarah dharkta hai.
Hain issi ehsaas se zindaa hum,
Hain ek-duje ke dil o jaan hum.

Ek duje ke dil main rahte hain -
Kya pyaar issi ko kahte hain?


—————————–—————————–—————————–

About the Author

Dil ne ham se jo kaha, ham ne vaisa hi kiya phir kabhi furasat se sochenge, bura tha ya bhala zindagi khwaab hai... You can contact via email here or online here.

Post a Comment