Â
Khalid
Veeraan hai mehfil meri jab se tum gaye ho
Bujh gayi hai saari roshni jab se tum gaye ho
Andheron ke saaye mein hai rooh meri
Roshni ne chhora daaman jab se tum gaye ho.
Â
Dil ki duniya khali hai tab se,jab se tum gaye ho
Sab aane se darte hain yahan,jab se tum gaye ho
Sheeshe mein dekhta hoon chehra apna to ro deta hoon
Kissi ne na poonche aansoo jab se tum gaye ho.
Â
Khamosh ho chuki hai zubaan jab se tum gaye ho
Meri aankhon mein toote hue sapne kuch de gaye ho
Unhi sapno mein ab zindagi ki guzzar karta hoon
Us khawab ko toda nahin jab se tum gaye ho.
Â
Dour jab tum mujh se ho to yeh khyal aata hai
Kya meri tarah tum bhi aahein bhar rahe ho
Phir jab aati hain mujhe hichkiyan
Yeh sochta hoon keh tum mujhe yaad kar rahe ho.
Â
Zinda hoon main yahan to teri hi khatir
Ke maut bhi aati nahin hai jab se tum gaye ho
Akelapan hai bas ab mere saath
Khushiyan to tum se thien,tum unko le gaye ho(mkm)
=================================================
=====================================
Zinda hoon main yahan to teri hi khatir
Ke maut bhi aati nahin hai jab se tum gaye ho
nice lines……
Aise hi hota hai jab koi dur chala jaata hai…..
*****************************************
Sara Khan
Hi Sara its always a pleasure to
receive a comment from you.Thank
you so much my friend.
How are you?Hows Ramadan going?Not
long to go now.
Take care my friend and lovely to
hear from you once again.
==================================
khalid.m@hotmail.co.uk
==================================
awesum………….khalid ji….
thnx 4 sharing…….
Sapna…………….
I love You
you are my life aap nahi to kuch bhi nahi Jaanu ji you are my Heart……..
Anil Sahani
sapna
Sapna may bilkul aakela ho gaya hoo jab se aap door gai hoo.Jaan kya juda ho kar bhi jina koi jindagi hai kya aap hi batao kaishe hum kab tak yuh hi bichad kar jiyange jaan aap jald se jald kahi bhi ho please aap laut aao aap ko dekhne ko yah dil tadap raha hai aap ko aab aak pal ke lye bhi aab door na hone denge………….
Jaan I LOVE YOU aap ke bin may nahi rah sakta aak pal ke liye bhi aap hi mari jindagi ho aap hi mera sab kuch hoo jaan aap ke bin may nahi ji sakta.
Jaanu may harmesa kuda se harmesa aak hi dua mangta hoo ki aap har pal kush raho aap ke hote ki muskan kabhi kam na hoo aap ki soach harmesa pura hoo taki aap ko kabhi mayush nai hona pabe jaan may aap ko har pal bahoot miss karta hoo kya jaan kab tak hum yuh hi bichad kar jiyange aab may yuh tanha nahi rah sakta aap hi mari jindagi ho aap nahi to may kuch bhi nahi hoo please jaan aap jaha kahi bhi koshis karna jald se jald humare pass laut aane ki…………………
Love you jaan so much…………..
Anil sahani