Hindi Love Poems Collection

Mere Toote Hue Dil Ko, Sahara Kon Dega
Meri Toofaan Me Kashti, Kinara Kon Dega

Yeh Kese Mor Pe Laai Ha Mujko Zindigani
Adhoori See Likhi Gyee Ha Kyun Meri Kahani

Ha Ab Kis Raah Pe Chalna Ishara Kaun Dega
Mere Toote Hue Dil Ko Sahara Kaun Dega

Main Hoon Our Sath Mere Ab Meri Tanhaayan Hain
Meri Taqdeer Se Mujko Mili Ruswayian Hain

Meri Ankhon Ko Khushion Ka Nazara Kaun Dega
Mere Toote Hue Dil Ko Sahara Kaun Dega

Hum Ne Pyaar Main Paaya To Kyaa Paya
Kabhi Khud Ro Diye Kabhi Tum Ko Rulaya
Halat-e-ghum Main Beh Gaya Jho Aansoon
Who Zindagi Main Phir Kabhi Na Behne Paya

Saza Mujhe Mili Aur Jaza Unhain Bi
Aisa Bhi Kya Insaaf Me Hai Sir Jhukaya
Himmat Nahee Thi Us Main Saath Mere Dene Ki
Ab Tak Na Jaane Vo Kaise Chal Paya

Kisi Ajnabi Ko Mera Likha Suna Raha Tha Woh
Bikhre Hue Khawabon Ke Purzey Udha Raha Tha Woh
Umr Bhar Pista Raha Who Rishtoon Ki Chaki Mein
Baaqi Rahe Rishtoon Se Daaman Churra Raha Tha Woh

Apni Zidd To Woh Puri Na Kar Saka
Ruthey Huway Bachoon Ko Mana Raha Tha Woh
Sehra Me Khile Phool Ko Bachane Ke Liye
Apne Ashkoon Se Uski Pyaas Mita Raha Tha Woh

Uski Yaadoon Ko Kuch Is Tarah Bhula Raha Tha
Apne Haathoon Apna Likha Mita Raha Tha Woh
Sirf Kirdaar Hi To Badle They Usne
Apni Hi Kahani Suna Raha Tha Woh !!!

Hum Apni Deewangi Se Jaane Jaate Hain
Wo Apni Berukhi Se Pehchaane Jaate Hain
Roz Miltey Hai Lekin, Kuchh Kehte Sunte Nahi
Mere Saamne Wo Meri Dhadkan Badhaane Aate Hain

Shab Bhar Intzaar Mein Hum Taare Dekhaa Karte Hai
Sabera Hone Se Pehle Wo Chand Bujhane Aate Hain
Bas Ek Nazar Ke Liye Hum Din Bhar Taraste Hain
Wo Shaam Ko Gamalon Ko Paani Pilaane Aate Hain

Mere Is Haalaat Pe Hansanaa Nahi Musafir Too
Ishq Main Sabke Saame Aise Zamaane Aate Hain

By Ram Kumar Chandak

173 Comments
  1. I swear i just loved the way u put in your thoughts …i m sure u find urself soon…

  2. log pyar ko khuda kehte hain,
    karo to gunnah kehte hain,
    kahawat hai patthar dil roya nahi karte,
    to phir paharon se hi jharne kyun behte hain….

  3. nice poems!!!!!!!!!i really liked it…….

  4. Bahaaron mein tumhen dekhaa tho aisaa lagaa,
    mere honthoon ki bholi si muskaan vaapas aa gayi…
    chipi chipi si thi kal tak aarazoo,
    dil se chaaha khushi ko ke tum saamne aa gayi…

    zulphon ko bikhere chalti jab,
    tum havaaon ki sansanaahat sunaati ho…
    madhbhari aankhon se mere dil pe zulm karti,
    tab apne bholepan se mujhe cheen jaati ho…

    shayad main hosh kho baithun
    tum jo baaten karne lago…
    bas yun hi dekhta rahun…
    aye haseen in lamhon ko mujhe samentane do….

  5. Main kaun hun?????????
     
    Ghar ki chaar deewaron ke beech
    Main apne mata-pita ki beti hun.
    Padosi ke bete ki muh-boli behen
    Aur college mein kai logon ki saheli hun.
    Logon ke saath toh kai rishtey hain mere
    Par koi mujhe bataye,
    Main apni kaun lagti hun?
     
    Lambi-chaudi sadkein
    Aur neeli peeli traino mein
    Main anchahi bheed ka hissa hun
    Kabhi kuch galiyon mein mera bada naam tha
    Aaj main vahan ek beeta hua kissa hun
    Kuch baton mein tej, toh kuch mein jara bholi hun
    Kabhi bahut jaani pehchani
    Toh kabhi anjaani paheli hun
    Kabhi logon se ghiri hui
    Toh kabhi bilkul akeli hun
    Kabhi purane khayalon waali
    To kabhi nayi naveli hun
     
    Jeevan ke 18 saal, panne palat teh beet gaye
    Kai “kathit” vidvanon se bhi maine pooch liya
    Par yeh prashna chinha ab tak nahin mita
    Koi toh mujhe de bata
    Main kaun hun? Main kya hun?
    Main apni kaun lagti hun?
     
                                                    – PARAMITA DEBNATH

  6. I really love this sites…reallynice poemss

  7. kahne ko to sharab gamo ko bhula de ti hai,
    bhula de ti hai un yaado ko,aasuo ko bhi sukha deti hai,
    mat pio itna kabhi,kabhi jayada p ne se aarmano ko bhi jala deti hai.

  8. this website has nice poems

  9. tum per bahut aitbaar karate hai
    kya kare tumse pyaar bahut karate hai
    jaanate hai galtia subse hoti hai
    esliye to her baar, her galati k liye tumhe maaf karate hai

  10. these poems r superb and heart touching …..

  11. enjoy the free poems at the site

  12. yu hawa main bikhar gaye hote
    kushbu jese gujar gaye hote
    teri yado main ji rahe ab tak
    barna ham kab ke mar gaye hote

  13. khuda ki rehmat sare sansar par barse,
    mere hisse ki rehmat mere dost par barse,
    ya khuda mujhe kar dena paani,
    agar mere dost kabhi pyas ko tarse.

    jane kis baat ki mujhe saza deta hai,
    meri hasti hui aankho ko rula deta hai,
    ek muddat se khabar hi ni teri,
    iss tarh se koi dosto ko bhul hai…..

    falk ko jid hai bijliya girane ki,
    to hume jid hai vahi ashyanbanane ki,
    agar apko adat ha hume bhul jane ki,
    to hume jid hai apko apni yad dilane ki

    assin v kise nu pyar kita c,
    pyar vbeshumaar kita c,
    ussvele ujjad gai eh duniya meri,
    jado ohne keha…!?!
    oye pagal, mein taan majaak kita c

    Milna itifaak tha bicharna naseeb tha
    Wo utna he door ho gaya jitna kareeb tha
    Hum usko dekhne k liye taraste he rahe
    Jis shaks ki hatheli pe hamara naseeb tha

    Jidhar bhi dekhtaa hoon tanhaai nazar aati hai
    aapke intzaar mein har shaam guzar jaati hai
    main kaise karun gilaa dil ke zakhmon se huzoor
    aansu chhalakte hain meri soorat nikhar jaati hai
    tod diye hain maine apne ghar ke saare aayine
    meri rooh mera hi chehraa dekh ke darr jaati hai
    ro ke halke ho lete hain zara se teri yaad mein…
    zara si na-muraadon ki tabiyaat sudhar jaati hai
    asar karti yakeenan gar choo jaati unke dil ko lekin
    afsos ke aah meri fizaaon hi mein bikhar jaati hai
    maikade mein jab bhi zikr aata hai tere naam ka
    shaam ki pee hui sar-e-shaam hi utar jaati hai

    Yun Na Mujh Ko Dekh Tera Dil Pighal Na Jaye
    Mere Ansuon se Tera Daman Jal Na Jaye

    Saath chutne se rishte nahi tuta karte ,
    Waqt ki dundh se lamhe nahi tuta karte ,
    Log kehte hain mera sapna tut gaya ,
    Tuti to neend hai sapne kabhi nahi tuta karte.

    Dil ki baat janta nahi koi
    Kehna in aankhon ka manta nahi koi
    Hum to jaan bhi luta denge khushi se par,
    Is jaan ki keemat janta nahi koi

  14. Dil ki baat janta nahi koi
    Kehna in aankhon ka manta nahi koi
    Hum to jaan bhi luta denge khushi se par,
    Is jaan ki keemat janta nahi koi

  15. hi guys………enjoy this site thru poems…………

  16. Hi, your website is very nice……..i like that……bcoz it contain a lot of poems n lyrics……i appreciate it….

    Regards
    Alok Srivastava

  17. har taraf aag si yuhi lagi hui.
    har shaksh jal raha hai khud ki aag mai.

  18. rok lete agar tumne mudh ke dekha hota ,
    jaane hi nahi dete agar tumne thoda huk diya hota,
    mat ja ki teri judai to seh legne ge,
    hum se tera intzar nahi hota

  19. Mat intzaar karao hame itna,
    ki waqt k fasle per afsos ho jaye’
    kaya pata kal tum laut kar aao or,
    Hum kamosh ho jaye.

1 5 6 7 8 9

    Leave a reply

    Love Shayari and Whatsapp Status in Hindi
    Logo