Hindi Love Poems Collection

Mere Toote Hue Dil Ko, Sahara Kon Dega
Meri Toofaan Me Kashti, Kinara Kon Dega

Yeh Kese Mor Pe Laai Ha Mujko Zindigani
Adhoori See Likhi Gyee Ha Kyun Meri Kahani

Ha Ab Kis Raah Pe Chalna Ishara Kaun Dega
Mere Toote Hue Dil Ko Sahara Kaun Dega

Main Hoon Our Sath Mere Ab Meri Tanhaayan Hain
Meri Taqdeer Se Mujko Mili Ruswayian Hain

Meri Ankhon Ko Khushion Ka Nazara Kaun Dega
Mere Toote Hue Dil Ko Sahara Kaun Dega

Hum Ne Pyaar Main Paaya To Kyaa Paya
Kabhi Khud Ro Diye Kabhi Tum Ko Rulaya
Halat-e-ghum Main Beh Gaya Jho Aansoon
Who Zindagi Main Phir Kabhi Na Behne Paya

Saza Mujhe Mili Aur Jaza Unhain Bi
Aisa Bhi Kya Insaaf Me Hai Sir Jhukaya
Himmat Nahee Thi Us Main Saath Mere Dene Ki
Ab Tak Na Jaane Vo Kaise Chal Paya

Kisi Ajnabi Ko Mera Likha Suna Raha Tha Woh
Bikhre Hue Khawabon Ke Purzey Udha Raha Tha Woh
Umr Bhar Pista Raha Who Rishtoon Ki Chaki Mein
Baaqi Rahe Rishtoon Se Daaman Churra Raha Tha Woh

Apni Zidd To Woh Puri Na Kar Saka
Ruthey Huway Bachoon Ko Mana Raha Tha Woh
Sehra Me Khile Phool Ko Bachane Ke Liye
Apne Ashkoon Se Uski Pyaas Mita Raha Tha Woh

Uski Yaadoon Ko Kuch Is Tarah Bhula Raha Tha
Apne Haathoon Apna Likha Mita Raha Tha Woh
Sirf Kirdaar Hi To Badle They Usne
Apni Hi Kahani Suna Raha Tha Woh !!!

Hum Apni Deewangi Se Jaane Jaate Hain
Wo Apni Berukhi Se Pehchaane Jaate Hain
Roz Miltey Hai Lekin, Kuchh Kehte Sunte Nahi
Mere Saamne Wo Meri Dhadkan Badhaane Aate Hain

Shab Bhar Intzaar Mein Hum Taare Dekhaa Karte Hai
Sabera Hone Se Pehle Wo Chand Bujhane Aate Hain
Bas Ek Nazar Ke Liye Hum Din Bhar Taraste Hain
Wo Shaam Ko Gamalon Ko Paani Pilaane Aate Hain

Mere Is Haalaat Pe Hansanaa Nahi Musafir Too
Ishq Main Sabke Saame Aise Zamaane Aate Hain

By Ram Kumar Chandak

173 Comments
  1. Mai Shayar to nahi lekin teri bewfae ne mujhe Shayar bana diya Mai banana chahta tha tere gale ka har lekin tune mujhe pairo ki payal bana diya.mob.8423283128

  2. Chale Woh Kadam Kadam Joh Saath Mere,
    Toh Uske Saath Se Pyar Ho Jaiye.

    Thame Woh Pyar Se Joh Haath Mera,
    Toh Apne Haath Se Pyar Ho Jaiye.

    Jis Raat Aaye Khawaboon Mein Woh,
    Uss Suhani Raat Se Pyar Ho Jaiye.

    Jis Baat Mein Aaye Zikr Uska,
    Toh Ussi Baat Se Pyar Ho Jaiye.

    Jab Pukare Pyar Se Woh Mera Naam,
    Toh Apne Naam Se Hi Pyar Ho Jaiye.

    Hota Hai Itna Khubsurat Yeh Pyar Agar,
    Toh Kaash Uss Bhi Mere Pyar Se Pyar Ho

  3. नजरों से यों मिलती है नज़रें
    रास्ते भी आज कल टकरातें है
    हम पडे रहते है यों ही घायल
    हाय ! क्या अदा से आप शर्माते है‎

  4. Pretty section of content. I just stumbled upon your site and in accession capital to say that I get in fact enjoyed account your weblog posts. Any way I?ll be subscribing in your augment and even I fulfillment you get admission to persistently quickly.

  5. lovely

  6. Amazing work,seriously dil ka haal kagaz pe utar diya apne…a big thanks GOD BLESS you.

  7. if it is hindi poem then it should written in hindi only.

  8. yeh kya likhtey rehtey ho tum itani gattiya beshimhar sayari meine apni zindagi mein nai sunni wah wah talliyan plz aaj mera bhi dil ro raha hai in badal aur dharti ka pyaar dekh ke 😀

  9. love is great ho gya ,
    khud ke dohke ka sikar ho gya,
    aokat nhi KUMAR ki diya jlane ki
    or suraj ki rosni se pyar ho gya……….”

    “khub liya dund scha pyar nhi milta ,
    dil me bsa lu jisko esa yaar nhi milta,
    bik gya tke ke bhaw pyar bazar me
    sapne bachne nikla KUMAR kriddar nhi milta ………”

  10. takdeer kya likhoon mukkadar ke samne
    us katil ne katl kiya mera mere ghar ke samne
    sari basti jalti to koi gham na tha
    tanha mera hi ghar jal gaya samundar ke samne

  11. i like your poetry so much,
    its so nice.

  12. kisi ki bhawnayen mujhe samjh nai aai, ab meri suno

    taaliyan
    arz kiya hai

    kisi ne khoob kaha hai….
    parindon ki fitrat se, aaye the wo mere dil me,
    zara pankh nikal aye to aashiyana chhod diya……..

    • AAPK IS SOCH PE MERA VICHAR HAI KI

      KI WO CHOR K CHALI GAYI HAMARE DIL KA AASHIYANA
      AISA LAGA KI JAISE WO TORE KE CHALI GAYI HAMARA SAMIYANA,
      HUM TO KHOJ ME GAYE THE KISI SACCHE PYAR KI LEKIN JALIM SAMNE AA GAYA WAHI PURANA MAIKHANA.

  13. Unki ek nazar ko taraste rahenge.Ye ansu har pal baraste rahenge.Kabhi bitey the kuch pal unke sth.Bas yehi sochkar hum haste rahenge.

  14. i also want 2 submit my poems..plz help me 2 knw whr cn i do this…

  15. amazing shayer.
    samandar ka mauj lehra rahi hain hesb ki tanhye maain.dil ka chirag jal rahihain uski milanki shikar main. hayran hain ya dil jne jigar ki intezaar main.

  16. raat to aati hai,par neend nahi aati hai;
    rehta hu is duniya mai,par tnhaai tadpati hai;
    tadap tadap k tanhaai mai,mera ye dil rota hai;
    rote rote ye pagla dil,harpal mujhse kehta hai;
    kya yahi pyar hai,kya yahi pyar hai.

  17. Kyu Yaad ate ho itna ki, Hum saanse lena bhul jate hai ….
    Ye hawaye chalna, ye pani bahana aur ye phool mahakana bhul jate hai,
    Fir bhi na jane kyu hum ye apse kahna bhul jate hai,
    Ki hum apse itni pyar karte hai, Jitna ye asman is dharti ko chahta hai,
    ye badal baarish ki bundo chahte hai,
    Par afsos hota hai hamari chahat par, Jise hum itna chahte hai wo hame bar bar tadpate hai……..

    • Koi deewana kehta hai,koi paagal samajhta hai
      magar dharti ki bechaini ko bus pagal samajhta hai
      mein tujhse door kaisa hoon, tu mujhse door kaisi hai
      ye tera dil samajhta hai, yaa mera dil samajhta hai

      • “I love u without knowing how, or when, or from where.
        I love you simply, without problems or pride:
        I love you this way because I do not know any other way of loving but this, in which there is no I or you,
        so intimate that your hand upon my chest is my hand,
        so intimate that when I fall asleep you eyes close”

      • mr. anil aapne ye poem galat write kar raki he ….this is that

        Koi deewana kehta hai,koi paagal samajhta hai
        magar dharti ki bechaini ko bus badal samajhta hai
        mein tujhse door kaisa hoon, tu mujhse door kaisi hai
        ye tera dil samajhta hai, yaa mera dil samajhta ha

    • बड़ी आसानी से कह देता है अनकहनी भी
      मग़र एक “हाँ” है जो कहने पे तौलता है बहुत ,
      मैं बोलता हूँ तो सुनता ही नहीं बात मेरी
      मैं चुप रहूँ तो वो मुझ में ही बोलता है बहुत ……”

  18. Bhari mehfil main tanha rehna acha lagta hai
    Terey barey main sochtey rehna acha lagta hai .
    Kabhi phulon main ,kabhi kaliyon main
    Tujh ko hi dhundtey rehna acha lagta hai
    Meree zindagi ki khushiyan tumhee say hain wabasta
    Rab say sirf tumhein hi mangna acha lagta hai
    Hamarey darmiyan hai sadiyon ka fasla
    Kuch is tarhan guftugu karna acha lagta hai
    Tumhrey baghir zindagi ka koi tasavur nahi hai
    Kuch is tarhan tumhari tamanna karna achha lagta hai
    Tum hi ko chaha,tum hi ko chahtey hain
    Tumhi ko chahtey rehna acha lagta hai..A.B.
    Mohabbat ka hai mushkil pehelu tumhaara saath chaahiye,
    ek zindagi mein jiyu magar aapki se ek mulakaat chaahiye,

  19. pyar ka yaha ajab sa khel hai ,paas hai yaha to koi fail hai,mil gyi jisse muhabbt kusnasib hai wo,nhi mili jise unke dil ke liye sarir ek jail hai…….

  20. dil ka fasana labo se bya nhi hota,agar mil jati hame hamari mohabbat to ye dil b na rota,dekh leti jo tum hame pyar bhari nazar se to ,to ai sanam hme taqdir se koi gila na hota……

1 2 3 9

    Leave a reply

    Love Shayari and Whatsapp Status in Hindi
    Logo