Gungunatey Huye Aanchal Ki Hava De Mujh Ko!!!
By khalid on Oct 18, 2008 in Friendship Shayari, Hindi & Urdu ghazals, Hindi Shayari, Hindi SMS & Shayri, Love Shayari, Love SMS, Punjabi Shayari, Punjabi SMS, Romantic Shayari, Sad Shayari
Khalid
Gungunatey Huye Aanchal Ki Hava De Mujh Ko
Ungliyaan Pheir Kar Baloun Mein, Sula De Mujh Ko
Jiss Tarah Faaltu Guldaan Pare Rehte Hein
Apne Ghar Ke Kisi Kone Se Laga De Mujh Ko
Yaad Kar Ke Mujhe Takleef Hi Hoti Ho Gi
Eik Qissa Houn Purana Sa Bhula De Mujh Ko
Doubtey Doubtey Aawaz Teri Sun Jaoun
Akhri Baar Tu Sahil Se Sada Day Mujh Ko
Main Tere Hijar Mein Chup Chap Na Mar Jaoun Kahein
Aa Ke Khwabo Main Tu Khud Se Mila De Mujh Ko
===================================
===================================
—————————–—————————–—————————–



On Oct 19, 2008 at 10:49:43, hiren4u said:
Yaar khalid kuch kuch mere dil ki bat kehdi aapne ..kuch aise hi haal hai mere bhi…
yeh kisi ko forward karne wala hi main abhi
Thanks
Have a nice day
On Oct 19, 2008 at 11:13:54, khalid said:
Heeren,
Mere yaar barhi khushi huiy ke
main aap ke kissi kaam aasaka!
Bas jaldi se forward kardein.
Mulakaat kab karva rahe hain?
=====================
khalid.m@hotmail.co.uk
=====================
On Oct 20, 2008 at 04:55:25, Amarjeet Kaur said:
Khalid…..
Bahut hi zabardast likha hai…..
It is beautifully written……
Just wonderful……
*****************************
On Nov 16, 2008 at 23:44:36, Ganesh Kondalkar said:
Hi,
I read ur this one and its really fantastic…
There are no words I have to describe how much it means to me…..
Regards,
Ganesh…
On Nov 17, 2008 at 14:26:15, khalid said:
Ganesh
Thank You Ganesh.I am so happy
that you have enjoyed this post.
Please keep on visiting and
commenting !
=======================
khalid.m@hotmail.co.uk
=======================