Category: Missing You SMS
Selected Sms shayaris
Kya Milta Hai Tumhe Mujhe Gham De Ke
Kya Pate Ho Mujhe Ashko Mein Dubo Ke
Aj Hun Tere Pass To Rulo Lo Mujhe
Kal Na Rahunga To Karoge Yaad Ro Ro Ke
Ugta hua sooraj dua de aapko,
Khilta hua phool khushboo de aapko,
Ham to kuch dene ke kaabil nehi hai,
Dene waala hazaar khushiyaa de aapko.
Aapko miss kiya,
Ek dil ki dhadkan miss ho gai,
Phir miss kiya,
To yaad aaya ek kiss miss ho gai,
Socha ki ab miss na karu, to jaana miss na kiya,
To samjho zindagi miss ho gai.
Gam ne hasne na diya, jamane ne rone na diya,
Is uljhan ne chain se jeene na diya,
Thak ke jab sitaaro se panaah lee,
Neend aayi to teri yaad ne sone na diya.
Chehre pe banaavat ka gussa,
Aakhon se Chalkata pyaar bhi hai,
Is shokha…e.. .adaa ko kya kahiye,
Inkaar bhi hai aur ikraar bhi hai.
Ummeed aisi ho jo jeene ko majboor kare,
Raah aisi ho jo chalne ko majboor kare,
Mahak kam na ho kabhi dosti me,
Pyaar aisa ho jo milne ko majboor kare.
Woh Rulaa Kar Hans Na Paaya
Wo Rulakar Hans Na Paaya Der Tak
Jab Mein Rokar Muskaraya Der Tak
Bhulana Chaha Agar Usko Kabhi
Aur Bhi Wo Yaad Aya Der Tak
Bhuukhe Bachhon Ki Tassalli K Liye
Maa Ne Phir Paani Pakaya Der Tak
Gun Gunaata Jaa Raha Tha Ek Faqir
Dhup Rehti Hai Naa Saaya Der Tak
Wo Rulakar Hans Na Paaya Der Tak
Jab Mein Rokar Muskaraya Der Tak
Hamara Koi Nahi…
Mid Ocean Mein Hai Boat,
Sahara Koi Nahi,
Hum Baithe All Alone,
Hamara Koi Nahi….
Kisi Waqt O,Selfish Priy,
Ek Loving Nazar Kar Di Hoti,
Thodi Mohabbat Thodi Sympathy,
Kabhi To Show Kar Di Hoti,
Kya Karein Kisi Pe Faith,
Hamara Koi Nahi…….
Pinch Karegi Jab Seperation,
Tab Tum Hosh Sambhaloge,
Tear Bahenge,Dear Tumhare,
Sorry Face Banaloge,
Tab Karenge Hum Bhi Joke,
Hamara Koi Nahi…..
Na Jaan Sakega,
Tere Dil Ka Matter,Dear Aur Koi,
Nahi Milega,Chahne Wala,
Humse Better Aur Koi,
Matt Karo Humein Ignore,
Hamara Koi Nahi…..
Hum Baithe All Alone…
Sahara Koi Nahi….
Dard Ki Barish
Dard Ki Barish Sahi Maddham Zara Aahista Chal,
Dil Ki Mitti Hai Abhi Tak Nam Zara Aashista Chal,
Tere Milne Aur Phir Tere Bichhad Jane Ke Bich,
Faasla Ruswai Ka Hai Zara Aahista Chal,
Apne Dil Hi Mein Nahi Hai Uski Mehrumi Ki Yaad,
Uski Aankhon Mein Bhi Hai Shabnam Zara Aahista Chal,
Koi Hi Ho Humsafar Na Ho Khush Is Qadar,
Ab Ke Logon Mein Wafa Hai Kam Zara Aahista Chal….
Aanso Chupa Chupa Ke Rooey
Kabhi Aanso Chupa Chupa Ke Rooey,
Kabhi Dastan-E-Gum Suna Ke Rooey,
Raat Katti Hai Intezar-E-Yaar Main,
Hum Raat Bhar Taroon Ko Jaga Jaga Ke Rooey,
Phir Woh Na Aay Raat Ka Wada Kar Ke,
Hum Tamaam Raat Shama Jala Jala Ke Rooey,
Aaj Raat Un k Aaney Ki Umeed The Humain,
Woh Na Aay Hum Ghar Ko Saja Saja Ke Rooey,
Suna Hai Dua Se Hoti Hai Muraad Dil Ki Poori,
Hum Sari Raat Haath Utha Utha Ke Rooey…!!!
