yoon to kai roop saje the rahon me
By Mehul on Feb 22, 2010 in Ghazal SMS, Hindi & Urdu ghazals, Hindi SMS & Shayri, Hindi Shayari, Romantic Shayari, Sad Shayari, dard shayari, love-shayari | comments(8)
By Mehul on Feb 22, 2010 in Ghazal SMS, Hindi & Urdu ghazals, Hindi SMS & Shayri, Hindi Shayari, Romantic Shayari, Sad Shayari, dard shayari, love-shayari | comments(8)
By khalid on Feb 16, 2010 in Friendship SMS Shayari, Ghazal SMS, Hindi & Urdu ghazals, Hindi Gazal, Hindi SMS & Shayri, Hindi Shayari, Love Shayari, Punjabi SMS, Punjabi Shayari, Romantic Shayari, SMS Shayari, Sad Shayari, dard shayari, love-shayari | comments(9)
Khalid
Ashq reh reh kar meri aankhon se bahey jaate hain,
Yeh woh mehmaan hain jo,bin bulaye chale aate hain.
Hijar ke mausam mein dilon ka sisakana saari raat,
Shama khamosh hai magar ham tau jale jaate hain.
Baat kehni thi nermi se magar zubano ki talkhi,
Lafz kharon ki tarah dil mein chubhe jaate hain.
Meri bebasi pe rota hai,barasta aasman abhi bhi,
Yeh woh baadal hain jo aahon se buney jaate hain.
Aaj phir tere dil ne humein tarap kar pukara aise,
Bina rahon ke kadam teri janib uthey jaate hain(mkm)
=============================================
=============================================
Popularity: 100% [?]
By khalid on Jan 12, 2010 in Friendship SMS Shayari, Ghazal SMS, Hindi & Urdu ghazals, Hindi Gazal, Hindi SMS & Shayri, Hindi Shayari, Punjabi SMS, Punjabi Shayari, Romantic, Romantic SMS, Romantic Shayari, SMS Shayari, Sad Shayari, dard shayari, love sms, love-shayari | comments(20)

Khalid
Dil ki dhadhkan hai,khyaalon mein mere rehta hai
Kaun hai woh, jo swaalon mein mere rehta hai
Jis ka dekha na khwaab us se wafa karta hoon
Dil ke aaine mein main us se mila karta hoon
Main nahin jaanta yeh kis ki talab hai mujh ko
Kis ka armaan iraadon mein mere rehta hai
Khwaab hai woh mera, taabeer dilaaon kaise
Apni hasrat ko main, taqdeer banaaon kaise
Mujh ko milta hai sakoon, us ka tasavur kar ke
Woh ishara, jo isharon mein mere rehta hai
Kis ki tareef mein likhi yeh ghazal kya janu
Kis ko kehta hoon mohabbat ka kanwal kya janu
Main tau bas aik hi umeed mein rehta hoon sadaa
Us ko dekhoon jo nazron mein meri rehta hai.(mkm)
============================================
khalid.m@hotmail.co.uk
============================================
Popularity: 67% [?]
By khalid on Nov 25, 2009 in Friendship SMS Shayari, Ghazal SMS, Hindi & Urdu ghazals, Hindi Gazal, Hindi SMS & Shayri, Hindi Shayari, Missing You, Punjabi SMS, Punjabi Shayari, Romantic SMS, Romantic Shayari, SMS Shayari, Sad Shayari, dard shayari, love sms, love-shayari | comments(20)

Khalid
Kyon door ho kar bhi
Koi dil ke paas rehta hai.
Dil ke paas ho kar bhi
Kyon us ka intezaar rehta hai.
Yeh kaisa dard hai
Jo meetha sa lagta hai.
Mehfil mein hoon magar
Mujhe tanha sa lagta hai.
Kyon ham har pal
Unke khayaalon mein khoy rehte hain.
Unke hi khayaalon se
Apni duniya sajaaye rehte hain.
Kyon lagta hai
Ham unke bina adhoore hain.
Mil jaaye agar woh
Tau saare sapne pooray hain.(mkm)
==================================
==================================
Â
Popularity: 26% [?]
By Heeren Tanna on Nov 1, 2009 in Ghazal SMS, Hindi & Urdu ghazals, Hindi Gazal, dard shayari | comments(0)
Aaj Ki Raat Yaadon Kay Kuch Mehmaan Aanay Waalay Hain
Aaj Udaasi Nay Phir Chera Hai Saaz
Aaj Dard Phir Kuch Sunaiga
Tanhai Nay Baandhay Hain Gunghru
Aaj Waqat Bhi Thahar Jaiga
Chand ! Apni Chandni Idhar Rakh Jaanaa
Aanay Hain Aaj Kuch Bhoolay Huay Say Chayhrey
Ashqo ! Aaj Tum Bhi Ji Bhar Kay Beh Lenaa
Behal Jaayn Aisay Hi Shayad Ahsaason Kay Sfeenain Continued
Popularity: 7% [?]