Bhare nahi paheli mohobbat ke zakham..

If perfect

Zakhami dil hoon doston, phir se dil lagane ki chahat kaise karun,
Bhare nahi paheli mohobbat ke zakham, mohobbat kaise karun..!

Chhod gaye woh, par ab bhi hai itebar, unke lout aane ka mujhe,
Razamand mai bhi tha waqt ke takaze par, shikayat kaise karun..!

Gairate hal hua may sharmasar bi jiske zinnat ki qateer,
Kar ruswa use hi, apni mohobbat ki zalalat kaise karun..!

Kyun may bezuban hoon, zamane ke tanz bhare sawalon par,
Khilafe mohobbat ke apne hi khud hi adaawat kaise karun..!

E Khuda! Kya yehi hai ibaadate ajar mujh par tera,
Dard me mubtila kar diya, ab teri ibaadat kaise karun..!

Kehta hai koi khudgarz, mar gaya hai tujhe chhod jane wala,
Zinda hai mere dil me ab bi wo, to uski shahadat kaise karun..!

Dard hai apne dard ka ahsas kisi gazal se hi karun,
Kehker zuban se zamane ko, aam apne jazbat kaise karun..!

8 Comments
  1. Mujko Rula Kar Dil Uska Bi Roya To Hoga,
    Uski Ankho Par Bi Aansu Aaya To Hoga,
    Agar Na Kiya Kuch Haasil Hamne Pyar me,
    Kuch na Kuch Usne Bi Khoya To Hoga.

  2. Jab se ek ajnabi ko apne dil mein basaya hai, Tab se meri zindgi ka har rang nikhar aaya hai. Har lamha har jagah bas usi ka hota hai deedar… Ab to kudrat ka har jalwa haseen nazar aaya hai

  3. very nice……………………..

  4. Mind blowing shayari yar

  5. bahut. ………….. bahut ……………. bahut ………….maja aaya yaar.

  6. mast yaar maza aagaya

  7. Jo bhi kasme khaiy thi hamne
    wada kiya tha jo milke
    tune hi jeevan may laya tha mere savera
    kya tumhe yaad hai

  8. plz note send th e shyari for this mail

    thanks

    Leave a reply

    Love Shayari and Whatsapp Status in Hindi
    Logo