log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyun hain,
itna darte hain to phir ghar se nikalte kyun hain.
main na jugnu hun diya hun na koi tara hun,
roshni wale mere nam se jalte kyun hain.
nind se mera talluq hi nahin barson se,
khwab aake meri chat pe tahalte kyun hain.
mod hota hai jawani ka sambhalne ke liye,
aur sab log yahin ake phisalte kyun hain.
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Mohabbat me hum mashoor kya huwe..
har harkat humari deewangi lagnay lagi..
lafz jo niklay haal-e-dil ka bayan karne ,
zamane ko har wo baat shahyari lagnay lagi
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Aap ki Hasi Kabhi Kam naa Ho
Aapki Aankh kabhi Aasuon se Nam naa Ho.
Mile Zindagi me Har Khushi Aapko.
Bhale uss Khushi me Hum ho naa Ho
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
dosti hum ne khoob nibhayi hai….
dosti aur pyaar me na koi dewaar banayi hai….
log to dosti karte hain chehre dekh kar….
par aap ne to dosti ki ek alag pehchaan banayi hai….
Last 5 posts in About Life
- TIME TO WAKE UP : FOR THE SAKE OF INDIA - January 5th, 2009
- What does Love mean to you guys - January 3rd, 2009
- TOMORROW INDIA WILL STAND UNITED IN WHITE !! - November 27th, 2008
- The woman in your life…very well expressed… - November 25th, 2008
- some really dard e dil shayaris - October 25th, 2008
If you enjoyed this post, make sure you subscribe to my RSS feed!


On Apr 4, 2007 at 16:18:01, feeling said:
nice pallavi
Hum wo nahi jo tujey gam me chhoad dengey
Hum wo nahi jo tujhsey nata tod leyngey
Hum to tere wo dost hai agar ,
Teri sansey bhi tutaney lagey to apni sansey jod dengey
On Apr 4, 2007 at 11:40:06, Mannu said:
Jab sae chuta uska Saya hai ,sirf Gum nae hei sath nibhaya hai,Gum nahi uske bichad gane ka ,Gum hai Usnae Ulfat mein Galla dabaya hai .
On Mar 25, 2007 at 06:42:52, Maddy said:
lovely
On Mar 23, 2007 at 08:35:28, Pallavi said:
thanks a lot Ravi 4 u lovely comments , please do keep visiting!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
On Mar 23, 2007 at 07:18:26, Ravi Srivastava said:
What a nice feelings have u created in my heart!
you know friend???
Zindagi moahtaaj nahi manzilon ki, waqt har manzil dikha deta hai, kaun marta hai kisi ke liye, waqt sab ko jeena sikha deta hai.
On Mar 23, 2007 at 05:53:28, Ravi said:
Kabhi akele me bethkar ye khayal ata he…
ki har dum mujhe kyu wo hi yaad ata he…
Jisne zakhm itne diye…
Jisne sabhi vaade todd diye..
Kya use bhi kabhi tanhai me koi gam satata he…
Umra bhar ka sath nibhane ka kehte the jo…
Wo chand lamho ka bhi sath na nibha paaye…
Kya itna kamjor pyar hota he…..
Kya kabhi use apne kiye p afsos hota he..
Unhone apna daaman phoolo se saja liya…
Humara Nata kaato se jodd diya…
Aasma pe behtakar pal bhar me gira diya…
Kya yahi usne mujhe meri wafao ka sila diya…
Palat ke bhi na dekha ki hum mar gaye ya ji rahe…
Kya yahi sab achhai ke naseeb me ata he…
Uski yaad me mene kitne aasu bahaye…
Kya wo bhi kabhi hum p zulm karke rota he…
Hai is duniya me Khuda kahi???
To kya yahi uske darbaar me Nyay hota he???
Ki har ek begunaah gamo me rota he aur…
Kasuwar sone ki sej par sota hai…
Hum to usme bhi khush he….
Na kabhi shikwa ki na shikayat ki…
Har zakhm has kar seh gaye…
Apne aasuo ko khud hi pi gaye..
Par E-khuda itna reham zarur karna…
Ye Hasin zulm kisi aur pe na karna…..
na karna… na karna….
On Mar 22, 2007 at 15:23:39, julievora said:
zindagi kee rahoon may ranj ko gham k melay hain
bheeerr hai qayamat kee, phir bhee hum akaylay hain
On Mar 22, 2007 at 14:46:30, Pallavi said:
Thanks a lot 4 your lovely comment…………
kanto ki adat ho to jeena ashan hota hai,
muskil to tab hoti hai jab phool chubate hai,
muskil to tab hoti hai jab log apna ban kar bhi, anjan rahte hai……
On Mar 22, 2007 at 12:51:15, Pallavi said:
pyaar ki kushbu fiza mei hamesha rahti hai, saath hona na hona alag baat hai
On Mar 22, 2007 at 12:48:58, Pallavi said:
jane wala to chala jata, kaun janta hai ki kuch sikha janta hai ya sab le jata hai…………
zindagi ka kya aj hai kaal nahi………. phir bhi naam to chut jata hai……..
waqt, waqt ki baat hai………..
On Mar 22, 2007 at 11:36:07, julievora said:
gham zindagi ke saath hi ata hai
pass ho koi to pal mein chala jaata hai
naa ho koi to kuch sikha kar jaata hai
On Mar 22, 2007 at 10:25:20, hiren4u said:
wah kya mahfil jami hai do shayar ek saath mere blog par
On Mar 22, 2007 at 10:16:05, Pallavi said:
Wah Wah…………..
zindagi ki rahoon may bele hi ranj ho, ek dost ka sath hi kafi hota and duk bhula dene ko aur sara akela pan ko dur karne ke liya…………