Teri Yaad Aaye To Main Kya Karoon !!!
By khalid on Nov 29, 2008 in Friendship SMS Shayari, Hindi & Urdu ghazals, Hindi SMS & Shayri, Hindi Shayari, Punjabi SMS, Punjabi Shayari, Romantic Shayari, Sad Shayari, love-shayari | comments(10)
Khalid
Teri yaad aaye to main kya karoon
Tujh bin qaraar na aaye to main kya karoon
Jaagte mein bhi tujh ko sochoon
Sote mein bhi tere khawaab aayein to main kya karoon
Tujhe bhoolne ki lakh karta hoon koshish
Aankhon se teri surat na jaaye to main kya karoon
Tere paas aana chahta hoon main
Zamaana dewaar ban jaaye to main kya karoon
Mere dil mein tasweer hai teri jaanti hai tu
Phir bhi tujhe yaqeen na aaye to main kya karoon (mkm)
========================================
========================================
Popularity: 1% [?]
