By Heeren Tanna on Aug 29, 2008 in College Life Masti, Romantic, Romantic Shayari, Valentine sms | comments(0)
Hi Friends ,
i am posting after looooong time , so now heeren is back on love 104Â
This 60 pointes i read somwhere on other forum… hey girls only you can prove this is this right or wrong . i think most of them are true coz everybody wants to be loved .
1. Touch her waist.
2. Actually talk to her.
3. Share secrets with her.
4. Give her of your sweatshirts
5. Kiss her slowly –Are you remembering this?
6. Hug her.
7. Hold her.
8. Laugh with her. Continued
Popularity: 2% [?]
By khalid on Aug 27, 2008 in Friendship SMS Shayari, Hindi SMS & Shayri, Punjabi SMS, Punjabi Shayari, Sad Shayari, love sms, love-shayari | comments(26)
Khalid
kho gya jo ussay dhoond k laaoon kaisay
laapaton ka pata sabko bataoon kaisay
woh tou kehta hai chalo saath saffar kartay hain
saath chalta hoon magar saath nibhaoon kaisay
meray alfaaz mein woh apni ghazal kaisay kahay?
apni aankhon se ussay khwab dikhaoon kaisay
woh jo hota tou har roz jashan sa hota
uske jaanay pe ab eid manaoon kaisay
tu meri yaad mein har roz chala aata hai
sochta hoon main teri yaad mein aaoon kaisay
kab se aangan mein bahaarein nahi aayee hain
khushk phoolon se main ghar ko sajaoon kaisay
kaisay beh jaoon phir teri soch k dhaaray mein
lot aya hoon ab uss simt ko jaaoon kaisay
jhoot sun-nay ke aadi hain meray sheher k log
kyun kahoon such aur unko rulaaoon kaisay
dil jo roothay tou teri yaad mana leti thee
yaad roothi hai ab isko manaoon kaisay (mkm)
====================================
khalid.m@hotmail.co.uk
====================================
Popularity: 1% [?]
By love104 on Aug 12, 2008 in Hindi SMS & Shayri, Independence Day SMS, india | comments(1)
ae mere watan ke logo,
zara utho sambhlo, jago.,
dekho-dekho ye rajnetik neta,
kahan le chale tumhare desh ko.
ab bhi waqt hai, cheen lo inke hathon se,
apne desh ko,
pata nahi kis khaee main
fenkenge legakar isko.
bahut kurbaniyo se jiti,
hamne ye azadi ki jang
aaj ki ye rajniti,
pata nahi kya layegi rang.
yadi chahte ho rehna azad,
to utho, sambhalo apne desh ko
mar kar in dhokhebaaz netaon ko dhakka
jeet lo rajniti ki jang.
aur bolo unki jaikar
jinhone lekar di tumhe ye azadi ahirkaar.
khel ke khoon ki holi,
thama di tumhe desh ki doli.
aao milkar sab yatan kare
HINDUSTAN hamara azad rahe, khushaal rahe,
abad rahe saugaat rahe ,
duniya ke sar ka taj rahe,
Happy Independence Day
BE PROUD TO BE AN INDIAN.
Popularity: 1% [?]
By khalid on Aug 9, 2008 in College Life Masti, Friendship SMS Shayari, Hindi SMS & Shayri, Hindi Shayari, Punjabi SMS, Punjabi Shayari, Sad Shayari, love sms, love-shayari | comments(34)
Khalid
Muddat se jis ke waaste Dil be qaraar tha
Woh laut kar na aaya magar intezaar tha
Jo humsafar tha chorr gaya raah main mujhe
Main phans gaya bhanwar main woh darya ke paar tha
Manzil qareeb aayi to tum door hogaye
Itna to tum batao ke yeh kaisa Pyaar tha
Chilman giradi yeh kis ne dono ke darmiyan
Na woh sakoon se betha na mujh ko qaraar tha
Yeh mukhtasar sa haal hai rukhsat ke waqt ka
Ankhon main aansu aur Dil beqaraar tha
Yeh baat umer bhar samjh na paaya main
Kyun Dil mera us ka talabgaar tha (mkm)
=====================================
khalid.m@hotmail.co.uk
=====================================
Popularity: 2% [?]
By khalid on Aug 2, 2008 in Friendship SMS Shayari, Hindi & Urdu ghazals, Hindi SMS & Shayri, Hindi Shayari, Punjabi SMS, Punjabi Shayari, SMS Shayari, Sad Shayari, love-shayari | comments(9)
Bade dhokhe kha ke baithe han,
Jind mssa bcha ke baithe han,
oh dil ton laah ke baithe ne,
assi dil te laa ke baithe han,
Oh sajjan bhawen chale gaye,
assi dil ch bssa ke baithe han,
ih jande han uss aana nahi,
bus,ummed lga ke baithe han,
oh dushman sanu kehade ne ,
assi yaar bna ke baithe han,
uss di kiti har nafrat nu,
assi pyar bna ke baithe han.
oh sade ne is weham nu,
ik khaab bna ke baithe han,
iss duniya wich assin ussnu,
mahtaab bna ke baithe han.
han,oh sanu,dil tonn lah ke baithe ne,
assi dil te laa ke baithe han.
assi dil te laa ke baithe han.
================================
khalid.m@hotmail.co.uk
================================
Popularity: 1% [?]